Poetry on Religious riots in Delhi 2020 - Dushmani chhodo aman kee baat karo
Ye daur-e-vahshat hai
Vatan kee baat karo
Deewano dushmani chhodo
Aman kee baat karo
Ye hindu hai , ye musalmaan hai
Chaman ke phool hain dono
Chaman dono se vaabasta hai
Chaman kee baat karo
Deewano dushmani chhodo
Aman kee baat karo
Mazhabee faasle kya hain
Siyasat hai - siyasat hai
Humare darmiyan kya hai
Mohabbat hai - Mohabbat hai
Ye daur-e-dahshat hai
Vatan kee baat karo
Deewano dushmani chhodo
Aman kee baat karo
ये दौर-ए-वहशत है ।
वतन की बात करो ।।
दीवानो दुश्मनी छोड़ो
अमन की बात करो ।
ये हिन्दू है,ये मुसलमा है
चमन के फूल हैं दोनो ।
चमन दोनो से वाबस्ता है
चमन की बात करो ।
दीवानो दुश्मनी छोड़ो
अमन की बात करो ।
मज़हबी फासले क्या हैं
सियासत है , सियासत है ।
हमारे दरमियाँ क्या है
मोहब्बत है , मोहब्बत है ।
ये दौर-ए-दहशत है
वतन की बात करो।
दीवानो दुश्मनी छोड़ो
अमन की बात करो ।

Leave a Comment